hain loog boht khas humain aam na karna


Zaahir kissi Soorat Bhi kahii Naam Naa karna.
hain Loog bohut khaas hamein aam na karna.

Jaaney ki ijaazzat tuo Dieye detey hain lekin.
Rastey main kaheen ate hoye sham na karna.

kuch Roz se ye Haal hay furqat main tumhare.
baikaar parrhey rehhney koyyi kaam na karna.

ham bhi Naa Dikaayenge Sar-e-raah garibaan.
tum bhi meri wa'adoon ko sar-e-aam na karna.

iss shart Pey Hay tark-Ke-Ta'alooq ki ijaazzat.
Bad-naam Zamaney main mera naam na karna.

badnam na karna hame iss shehr-e-wafa main.
Mash-hoor kaheen pyaar ka paigham na karna.

yaadoon ka nasha hosh urrha deta hay N.
saaqqi sey kaho saamney abb jaamm na karna.

Post a Comment

0 Comments