Bharam tot jaye ga


Apney bister pe buhut dair se mein neem darazSochti thi ke woh iss waqt kahan par ho gaa?Mein yahan hoon magar uss koocha-e-rang-o-boo mein…….Roz ki tarha say woh aaj bhi aya ho gaaAur jab uss ne wahan mujh ko naa paya ho gaa.........
Aap ko ilm hay,woh aaj nahin aai hain?Meri har dost se uss ne yahi poocha hogaa
Kiyoon nahin aai woh? Kiya baat hui hay aakhir?Khud iss baat par so baar woh uljha ho gaa
Kal woh aaiey gee tu mein uss se nahin boloon gaaAap hi aap kai baar who rootha ho gaa
Woh nahin hay tu bulandi ka safar kitna kathinSeerhiyaan charhtey huey uss ne socha ho gaa
Rahdaari mein, harey lawn mein,phoolon ke qareebUss ne har simt mujhey aan ke dhoondha ho gaa
Naam bhooley se jo mera kahin aya ho gaaGhair mehsoos tareeqey se woh chonka ho gaaAik jumley ko kai baar sunaya ho gaaBaat kartey huey sau baar woh bhoola ho gaa
Yeh jo larki nai aai hai…kahin woh to nahin?Uss ne har chehra yahi soch ke dekha ho gaa
Jaan-e-mehfil hai magar aaj faqat merey baghairHai kiss darja wohi bazm mein tanha ho gaaKabhi sannaton se wehshat jo hui ho gee usseyUss ne besakhta phir mujh ko pukaara ho gaa
Chaltey chaltey koi maanoos si aahat paakarDoston ko bhi kissi uzr se roka ho gaaYaad kar ke mujhey num ho gai hon gee palkeinaankh mein par gaya kuch keh ke yeh tala ho gaa
aur ghabra ke kitaabon mein jo lee ho gee panahhar satr mein mera chehra ubher aya ho gaa
jab mili ho gee ussey meri alaalat ki khabaruss ne aahista se deewar ko thama ho gaa
ittifaqan mujhey uss shaam meri dost milimein ne poocha ke ,suno,”aaiey they woh? Kaisey thay?”
USS ne aik lamhey ko dekha mujhey aur phir hans deeuss hansi mein to who talkhi thi ke uss se ageykiya kaha uss ne..mujhey yaad nahin hai laiken…itna maaloom hay.....itna maaloom hay"khawabon ka bharam toot gaya"

Post a Comment

0 Comments